Aise hi ek din puraane kanpur ki galiyon me Annu(Anoop) ke saath ghoom rahe the ke ek bachha mila jo 'KAMPAT' Khaa raha thaa. Kuchh yaad aaya doston wahi kahatte meethe swad wali, chanda mama ke aakaar wale 'KAMPAT'. Ek pal me hi poora bachpan aankhon ke saamne se guzar gaya.
Wo har saal garmiyon ki do mahine ki chhutti me naani ke ghar jaana, wahan din bhar dhoop me poore gaon me khelna, taalab kinare ki mitti se tarah tarah ke khilone banana, cycle chalana, Lattoo nachana, ped se kachhe aam patthar se todna,kheton me jaakar kharbooz aur tarbooz todna,tubewell par nahana. Maa se ek rupaye le kar kabhi BARAF to kabhi KAMPAT khana. Haan sab yaad aagaya.Kitne achhe din the.
Achanak phone ki ghanti bazi to yaadon se bahar aaye phone pik kiya to udhar se awaz aaee ' vipul jee hamari EMI nai kati hai iss mahine ki jara dekh lijiyega' hamne kaha 'ok'. Ham Annu ko dekh kar muskaraye aur bole chalo gadi start karo. Raaste me wo bachha kahin nahi mila. Milta to shayad poochhate ki 'KAMPAT' kahan milte hain.
Raste me yahi sochate rahe ke kaash wo din aa jayen ek baar phir se. Lekin nai aab ham bade ho gaye hain jimmedaariyaan bhi badi ho gayee hain, shayad bahut badi.
Aur haan 'KAMPAT' milte to bataiyega jaroor pls..